Android Me Notification Bar Change Kare: Dosto! Jaisa ki hum jante hai android devices me notification bar sabhi android devices aur android versions me alag-alag Companies ke OS ke hisaab se hote hai, Sath hi android smartphones me wo hi ek jaise android ki notification aur themes dekh-dekh kar hume use badalne ka man hota hai par hum Stock Os hone se use hum change nahi kar pate hai to ab es blog me hum janenge ki Android Me Notification Bar Kaise Change Kare.
Android me notification bar change karne ke liye hume phone ko root karna hota hai par aaj hum aapko aisa tarika batane jaa rahe hai jisse aapko apne android phone ko root karne ki aawashyakta nahi hoti hai, aur aap kuchh hi simple tarike se apne kisi bhi android phone me aap apne android device ka notification bar ki Style, Font, Color aur Background Image bhi change kar sakte hai. to chaliye dekhte hai ki hum Android Me Notification Bar Change Kare.
YEH BHI PADHE : Android Phone Ko Root Kaise Kare [FULL GUIDE]
Android Me Notification Bar Kaise Change Kare (Step by Step)
Android me notification bar change karne ke liye hume bina root kiye ek app ki jarurat hoti hai jise hum Apne kisi bhi android phone ke google play store se apne phone me install kar sakte hai. Ab aap niche bataye gaye steps ko follow kare.
- Sabse pehle “Google Play Store” me Search kare “One Shade : Custom Notification” App ko Install Kare.
- App Install karne ke baad App icon par Click karke App ko Open kare, Ab aapko Accessibity par Click Kare.
- Jaise hi aap click karenge aapko Setting ke Accessibility me One Shade Ka Toggle ON karna hai.
- Ab aapke phone me “One Shade” App Open ho chuka hoga, ab aapko yaha kuchh options dikhayi denge.
- Ab aap Colors par click kare, Jaha aapko colors related sari chije change karne ka option aa jata hai, Jaha se aap Apne Phone ke notification bar me color change kar sakte hai.
Yaha humne dekha ki kaise hum apne android device ke notification ko color me change kar sakte hai, agar aap apne phone ke notification bar me kisi bhi tarah ki photo lagana chahte hai to aapko es App me dikhayi de rahe colors ke section me “Change Background Image” ka option mil jata hai jiski madad se aap apndroid device ke notification bar me photo lagaa sakte hai.
Anya(More) Tariko(Ways) Se Android Me Notification Bar Kaise Change Kare
Humne Google Play Store par bohot sare aise apps dekhe honge jinme humne dekha hai ki apps to hai par unse kaam nahi hota hai jo hum unse chahte hai aur sath hi Ads bhi bohot sari unme dekhne mil jati hai. Android me notification bar change karne ke bohot sare apps hai jaise agar hum chahe to kuchh launchers ki madad se bhi hum apne pure hi themes and wallpaper ke sath hi phone ke notification ko bhi stylish banaa sakte hai. aur agar hum jyada hi advance tarah se apne pure android phone ke OS change karna chahte hai to hume phone ko Root karna hota hai jiski madad se hum wo sabhi chije kar sakte hai jo hum company ke Operating System ke andar nahi kar sakte hai.
Chaliye dekhte hai koun-koun se apps hai jo hume bina phone ko root ko kiye hi humare phone ke notification bar ko change karne me humari madad kar sakte hai. Humne jo aapko apps niche bataye hai unme se kuchh Free hai aur Kuchh ke liye aapko Payment karna pad sakta hai.
Kuchh Apps
- Power Shade: Notification Bar
- Mi Control Center
- Super Status Bar – Customize
Dosto! humne jana ki kaise hum apne android me notification bar kaise change kare jiske liye humne aapko ek app ki madad se example dikhaya ki kaise aap apne phone me notification bar ke app ko setup kar sakte hai, Sath hi aapko kuchh achchhi rating wale apps ko recommend bhi kiya hai, Agar aapko es blog se related kisi tarah ki koi issue aati hai to aap hume comment karke bataye.