Dosto! Agar aap apne latest smartphone ko root karne ka soch rahe hai to aapne Magisk ke baare me jarur suna hoga, to es blog me hum aapko batane ja rahe hai ki magisk kya hai aur magisk ke help se android phone ko root kaise kare.
Agar aapke phone se aapka man bhar chuka hai aur aapko ab apne phone ko use karne me bilkul majaa nahi aa raha hai aur company diya jane wala stock interface se aapka man bhar chuka hai to aapko apne phone ko root karlena chahiye aur apne phone ko ek alag level ka device banaa lena chahiye jiski madad se aap saari android ki limits cross karke aap jese chahe waise apne android phone ko modify karne kar sakte hai atleast apne phone me har tarah ka changes aap kar sakte hai. to chaliye jaante hai aap apne android smartphone ko easily Magisk se root kaise kare aur magisk kya hai.
Magisk Kya Hai?
Magisk ek tarah ka permission manager hai jo kisi bhi android smartphone me root ka access user ko provide karwata hai aur Magisk ko install karne se pehle aapko yah jaan lena chahiye ki agar aap root access apne phone me dete hai to aapke sabhi tarah ke UPI payments wale apps aapke phone me kaam karna band kardete hai kyuki user smartphone root hone ke baad har app ko apne use ke hisaab se modify bhi kar sakta hai.
ab aap jaan hi gaye honge ke magisk kya hai aur eska use kya-kya kaamo ke liye kiya jaa sakta hai, to chaliye ab jaan lete hai ki apne phone ko magisk se root kaise kare.
Magisk Install Kaise Kare?
Magisk ko Install karne ke liye aapko sabse pehle apne phone ka bootloader Unlock karna hota hai uske baad aapko Custom Recovery install karni hoti hai, aur Bootloader Unlock karne ki har smartphone ki process alag-alag hoti hai to aap apne phone phone ka bootloader unlock karne ki process ke liye XDA Developers par jaakar jaan sakte hai kaise aapko apne smartphone ka bootloader unlock karna hai.
NOTE:- Bootloader Unlock karne ki process me aapke phone ka pura data delete(Wipe) hone ke chances jyada hote hai aur phone ki warranty bhi khatm ho jati hai, apne phone ke data ka backup jarur kisi dusre device(smartphone/PC) me banaa kar rakh le jisse aapka data safe rahe.
Magisk Ke Features
- MagiskSU: Device Ko Root Access Deta Hai.
- Magisk Modules: Modules Install Karta Hai Read-Only Permissions Ko Modify Karke.
- Magisk Hide: Root Detection System se Magisk ko Chhupata (Hide) Karta Hai.
YEH BHI PADHE : Phone Ko Unroot Kaise Kare [FULL GUIDE]
YEH BHI PADHE : Bootloader aur Kernal Kya Hota Hai?
Install Se Pehle Ke Jaruri Kaam
- Apne Data ka Backup External Computer, Pendrive yaa SD Card Me Rakhe.
- Phone Charge 50% Se Jyada Hona Chahiye.
- Bootloader Unlock Hona Chahiye(Agar Pehle Se Bootloader Unlocked Hai To Yah Step Skip Kare).
Bootloader Unlock karne Ki Puri Process Ke Liye Aap Apne Device Ka Naam Google Par Daalkar Sath Me “XDA” Likh Kar Search Kare…. Jaise :- “Oneplus 5 Bootloader Unlock xda”
- Custom Recovery Install Kare Jaise TWRP, PitchBlack, OrangeFox, Sky Hawk Recovery, etc.(Koi Ek)
- Magisk Manager Ka Latest Version Download Hona Chahiye.
Magisk Manager Ka Latest Version Download Karne Ke Niche Link Par Click Kare.
Install Karne Ke Steps
Step 1: Magisk Manager Ka Latest Version Ki Zip File Download Karke Apne Phone Ke Internal Storage Me Rakhe.
Step 2: Phone Ko Recovery Mode Me ON Kare.(Jo Har Device Ka Alag Ho Sakta Hai)
Step 3: Recovery Mode Me Aapko WIPE Ka Option Milega Jisme Aapko DALVIK CACHE Ko WIPE Karna Hai.
Step 4: Waha Se Back Karne Ke Baad INSTALL Wale Section Me Jaye.
Step 5: Ab Aapko Apne Internal Storage Ki Sabhi Dikhegi Jisme Aapko Magisk Jaha Save Hai Use Jakar Click Karna Hai.
Step 6: MAGISK Ki File Ko Select Karne Ke Baad Aapko SWIPE Karna Hai Jisse Installation Start Ho Jayega.
Step 7: Installation Complete Hone Par REBOOT TO SYSTEM Par Click Kare, Jisse Aapka Phone ON Ho Jayega.
Step 8: Agar Aapko Yah Process Complete Hone Ke Baad Magisk Manager Ka App Apne Phone Me Install Hua Nahi Milta Hai To Use Aap Es Link Click Here Karke Download Karke Install Kare.
CONGRATULATIONS! Ab Aapka Phone Successfully Root Ho Chuka Hai Jise Aap Root Checker Kisi Bhi App Ke Madad Se Check Kar Sakte Hai Aur Ab Aap Apne Phone Me Root Permission Ki Madad Se Preinstalled System Apps Ko Bhi Uninstall Kar Sakte Hai Aur Bohot Saare Modules Apne Phone Me Use Kar Sakte Hai.
Dosto! Es blog me humne jana ki magisk kya hai aur android phone ko magisk se root kaise kare? agar aapko esme kuchh samajh nahi aata hai to aap hume comment karke bata sakte hai jisse hum aapki madad kar sake.