Bina Data Delete Kiye Mobile Ka Lock Kaise Tode | 2 Best Tarike

Mobile Ka Lock Kaise Tode Bina Data Delete Kiye : Agar aap apne Android Mobile ka lock bhul chuke hai aur android mobile ka password kisi bhi tarah se recover nahi kar paa rahe hai to aaj hum aapko bilkul aasan shabdon me batayenge ki kaise aap apne android mobile ka password kaise pata kar sakte hai yaa Mobile ka lock kaise tode bina data delete kiye.

Dosto! aapko pehle yah bhi jaan lena chahiye ki latest android versions me har mobile phone ki security ko dekhte huye android mobiles ki security me dhyaan dekar sabhi mobile companies ne apne android mobiles ke Operating Systems ko aur bhi jyada secure karne ke liye bohot se naye security patches Sabhi android phones me de hi diye hai aur sath hi android versions me bhi ab Operating System Android ke liye Google ne bhi updates dekar apne sabhi android devices aur sabhi companies ke android devices ko achchhi tarah se hacking ya attacking se bachane ke liye aur bhi secure kar diya hai to ab hume yeh bhi dhyan rakhna hota hai ki agar hum android version 10 ke baad ke kisi bhi android mobile me mobile ko Format yaa Factory Reset bhi karna chahe to bina Pattern yaa Password ke ab Android Mobile Format yaa Factory Reset bhi nahi hota hai.

Agar hume apne kisi bhi Android Mobile ko bina Password ke unlock karna ho to hume sidhe mobile company ke service center par hi visit karna chahihe yaa agar aap service center nahi jana chahte to aapko apne phone ka data bina PC/Laptop ke ab wapis nahi paa sakta hai haalanki aapne yah bhi dekha hoga ki bohot saare Articles me aur Videos me aapko bilkul samay ki barbadi karne ke sath fake Articles yaa Videos aap dekh bhi chuke honge par aapko ghabrane ki jarurat nahi hai kyuki aapko hum sahi aur satik jankari dete hai, to aapko niche kuchh aise tarike bataye gaye hai jisme aap dekhenge ki Mobile Ka Lock Kaise Tode Bina Data Delete Kiye.

Dosto! aapko kuchh aise tools ke bare me bataya jaa raha hai jinki madad se aap apne android mobile ka lock aasani se khol sakte hai par aapke paas ek PC/Laptop hona jaruri hai aur sath hi kuchh paid softwares bhi hai jinki madad se aap apne latest android versions par chalne wale android mobiles ka lock kaise tode.

YEH BHI PADHE : Whatsapp Number Se Location Kaise Dekhe

Android Lock Screen Removel Tool Se

Andoroid Lock Screen Removel Tool ek tarah ka Computer Software hai jiski madad se aapne kisi bhi company ke android mobile ka lock tod sakte hai wo bhi bina data delete kiye, halaan ki eski koi guaranty nahi hai ki aapke mobile ka data delete hoga yaa nahi kyuki har android mobile ka hardware aur software alag alag tarah se kaam karta hai kuchh android mobile’s me aapko MTK processor milta hai to kisi me aapko Snapdragon Processors milte hai aur dono hi tarah ke phone ke processors ki functionality alag alag tarah ki hoti hai to yeh bhi ho sakta hai ki kuchh android mobile ke liye yeh wala software kaam naa bhi kare, Chaliye ab yeh bhi jaan lete hai ki agar yeh wala software aapke android mobile me kaam karta hai to aapko eska use kaise karna hai aur aapko ese download kaise karna hai aur eska use kaise karna hai.

  1. Sabse Pehle aapko Android Lock Screen Removel Tool ko apne PC/Laptop me Download karlena hai.
  2. Double Click karke aap Software Install karlena hai.
  3. Apne Android Mobile Ke Drivers apne PC/Laptop me google se Search kar Download karke Install karlen.
    Mobile Ka Lock Kaise Tode,
  4. Apne Android Mobile ko USB Cable ka Use karke Apne PC/Laptop se Connect kare aur Device Manager me Check karlen ki aapka Android Mobile Sahi Drivers ke sath aapke PC/Laptop me Connect ho chuka hai.
    Mobile Ka Lock Kaise Tode,
  5. Ab aapko Android Lock Screen Removel Tool me Apne Phone ka Model dekhne ko mil jayega aur aapko Remove Now ka option dikhayi dega jispar Click karne par aapke Android Mobile ka password Disable ho jayega.
    Mobile Ka Lock Kaise Tode,Dosto! humne aapko bataya ki PC/Laptop se mobile ka lock kaise tode bina data delete kiye.

Google FIND MY DEVICE Se

Dosto! humare jitne bhi Android Mobiles hote hai sabhi me hume apna ek google account banana padta hai jo ki hume google play store se koi bhi app download karne ke liye jaruri bhi hota hai aur sath hi humare device ke liye security ke liye bhi FIND MY DEVICE bahut kaam aata hai, aap es process ka use tab hi kar paayenge jab aapke android mobile me FIND MY DEVICE ko ON kiya gayaa ho aur aapne ese Accessebility Setting se Permissions Allow ki huyi ho. Jaante hai ki aap Kaise Find My Device ka use karke apne android mobile ko Unlock Kar sakte hai.

Eske liye aapko kisi dusre phone ya laptop ki jarurat hogi jisme aap apni Mail ID se Find My Device me Login kar sake aur Login karne ke liye Password yaad hona bhi jaruri hai.

  1. Dusre Phone ya Laptop me Find My Device Search Karke Usme Login Kare.
  2. Login Hone ke baad apne phone list dekhe usme aap apna Unlock kiya jane wala Android Mobile ko identify kare.
    Mobile Ka Lock Kaise Tode
  3. Jaise hi aap apne Android Mobile Ko Identify karlenge aapko usme kuchh Options dekhne milenge jisme aapko ek Option LOCK ka dikhayi dega jispar aapko click karke apne Android Mobile ka Password Change karne ke liye dekh payenge aur aapko waha se apne Android Mobile ka Password Change karlena hai.

Dosto! humne aapko ki FIND MY DEVICE se Mobile Ka Lock Kaise Tode Bina Data Delete Kiye. Sath yeh Process aap apne kisi Khoye huye Android Mobile ko Dhundne me bhi Use kar sakte hai to aapko es topic se related koi bhi issue ho to hume comment karke jarur bataye.

Leave a Comment

WinRAR: 10 चीजें जो आप नहीं जानते थे यह 10 Nature Wallpaper जो आपके फ़ोन को देंगे नया लुक | इसको लगा डाला तो फोन झिंगालाल लड़कियों के दिलो पर राज करने आये Nokia के यह 3 5G धासु Smartphones “छिपे हुए खजानों का पर्दाफ़ाश: सायनोजेन ओएस के 15 रोचक रहस्य” Unlock the Mysteries of GTA VI: What’s In Store for Gamers! | “गेमर्स के लिए GTA VI के रहस्य खोलें: जानें क्या है Leaks ! ” |