Phone Ko Unroot Kaise Kare [FULL GUIDE]

Dosto! Agar aapne android smartphone ko root kar liya hai aur ab wapis aap Unroot karna chahte hai to aaj es blog me aapko batauga ki aasani se aap apne kisi bhi Rooted android phone ko Unroot kaise kare.

Agar aapko android phone root karne ke baad Hang ho raha hai ya usme kuch Bugs aapko dekhne mil rahe hai yaa aapko kisi tarah ka Battery related issue  dekhne me aa raha hai to aapko apne android smartphone ko Unroot karlena chahiye aur wapis use Stock android par le aana chahiye, To chaliye jante hai aap apne android phone ko aasani se Unroot kaise kar sakte hai.

YEH BHI PADHE : Android Phone Ko Root Kaise Kare [FULL GUIDE]

NOTE :- Android Phone Ko Unroot Karne Ke Baad Aapke Phone Ki Warranty Aapko Wapis Nahi Mil Sakti.

Jyadatar log apne android phone ko Kingoroot Software se hi Root karte hai, Agar aapne bhi usi se kiya hai to aapko niche bataye gaye steps Follow karne hai aur agar apne kisi other Software yaa simply apne phone ko Superuser ki SUPERSU app se apne phone ko root kiya hai to uski bhi steps aapko niche diye gaye Steps me batayi gayi hai, Aap aasani se en Steps ko Follow karke apne android phone ko unroot kare.

COMPUTER SE PHONE UNROOT KAISE KARE ?

STEP 1:  Sabse pehle apne Computer/Laptop me Kingoroot Software ko Download kare.

DOWNLOAD KINGOROOT

STEP 2: Ap apne Rooted android phone ko apne Pc se Data Cable lagaakar Connect kare.

phone ko unroot kaise kare, rooted phone ko unroot kaise kare, android phone ko full unroot kaise kare,

STEP 3: Ab apne phone ki settings me jaakar USB Debugging ko ON karne ke baad phone ko Connect hone ke baad REMOVE ROOT ka Option aa jayega.

phone ko unroot kaise kare, rooted phone ko unroot kaise kare, android phone ko full unroot kaise kare,

STEP 4: Remove Root par click karne ke baad aapka phone Unroot hona Start ho jayega aur kuchh samay ke baad Successfully Unroot ho jayega.

INTERNAL LINKING

Agar aapne bina Computer apne phone ko kisi App. ki help se root kiya hai to aapko niche bataye gaye steps follow karne hai.

(Bina Computer) ANDROID PHONE KO UNROOT KAISE KARE ?

STEP 1: Agar aapka phone Rooted hai, to aapke phone me pehle se SUPERUSER/SUPERSU naam ka Application Install hoga, agar nahi to niche diye gaye link se SuperSu App ko Download kar le.

DOWNLOAD SUPERSU

STEP 2: SuperSu ko Download karne ke baad unko Install karke Open kare, aur Settings me jaaye.

phone ko unroot kaise kare, rooted phone ko unroot kaise kare, android phone ko full unroot kaise kare,

STEP 3. Settings me jane ke baad aapko Full Unroot ka Option mil jayega uspar Click karke aap aasani se apne Android phone ko Full Unroot kar sakte hai.

Kuchh Samay ki Process ke baad aapka Phone Successfully Unroot ho jayega.

Toh Dosto! Ab aapko yah to pata chal hi gayaa hoga ki aap android phone ko unroot kare aur aasani se apne android smartphone ko Unroot kaise kiya ja sakta hai ? (Computer aur Bina Computer Ke)

Dosto! Aapko agar es blog se related koi bhi query ho to aap hume Comment karke puchh sakte hai.

Leave a Comment

WinRAR: 10 चीजें जो आप नहीं जानते थे यह 10 Nature Wallpaper जो आपके फ़ोन को देंगे नया लुक | इसको लगा डाला तो फोन झिंगालाल लड़कियों के दिलो पर राज करने आये Nokia के यह 3 5G धासु Smartphones “छिपे हुए खजानों का पर्दाफ़ाश: सायनोजेन ओएस के 15 रोचक रहस्य” Unlock the Mysteries of GTA VI: What’s In Store for Gamers! | “गेमर्स के लिए GTA VI के रहस्य खोलें: जानें क्या है Leaks ! ” |