Whatsapp Number Se Location Kaise Dekhe | 2 Tarike

Whatsapp Number Se Location Kaise Dekhe: Dosto! Jaisa ki aap jante honge aaj-kal ke es samay me humari identity hume bachakar rakhni hoti hai aur sath scammers aur hackers se hume bachkar rehna jaruri ho gayaa hai agar baat kare hum humare whatsapp ki to hum dekhte hai ki kuchh log apni whatsapp profile picture ko bhi Public par set karke rakhte hai aur kuchh Private(Nobody) karke ya fir koi profile picture yaa bina bio about ke apna whatsapp use karte hai, en dono hi tarah ke logon me hume yeh nahi pata hota ki jo samne wala aadmi(person) hai wo real hai yaa scammer, to en hi wajah se hume yah jaanna hota hai ki Whatsapp Number Se Location Kaise Dekhe, to chaliye dekhte hai hum kaise kisike bhi whatsapp number se uski location dekh sakte hai.

 

Whatsapp Me Whatsapp Number Se Location Kaise Dekhe

Whatsapp number se location dekhne ke liye hume kuchh khas chijo ka dhyan rakhna hoga jaise agar hum kisi bhi person ko nahi jante hai aur wo hume whatsapp par message karta hai yaa call karta hai to aap sabse pehle uski profile check kar sakte hai, jisme aapko whatsapp ke latest version me profile picture ke niche username wale section me us vyakti ka naam dekhne mil jata hai yaa fir uska username me uska naam likha hota hai, agar hume username wale section me bhi us vyakti ka naam nahi dikhayi deta hai to hume kuchh alag tariko se uski location aur uska naam ka pata lagana hoga jiske kuchh alag-alag tarike aapko niche bataye gaye hai.

Humne dekha ki Whatsapp me hi hum kisika naam aur uski jankari kaise nikal sakte hai par hume esme location nahi dekhne milti hai aur agar kisine username aur profile picture ko Nobody par set kiya hua hai to hum uske baare ne kuchh nahi jaan sakte sivaay uske number ke humare paas uski koi jankari nahi hoti hai ki hume kisne aur kyu message kiya hai. to chaliye ab yah bhi dekh lete hai ki hum kaise kisike sirf whatsapp number se location kaise dekhe.

 

YEH BHI PADHE : [7 Differences]Stock OS aur Custom OS Kya Hota Hai?

Sirf Whatsapp Number Se Location Kaise Dekhe

Whatsapp par hume kisiki bhi pehchan tab hoti hai jab hum uski profile picture ya fir uska username dekhte hai yaa us aadmi ka number save hota hai yaa hum unka number pehchante ho, to baat yaha aati hai whatsapp par unlogo ke numer ki location yaa fir unlogo ka naam ya detail jaanne ki jab hum message karne wale aadmi ko nahi jaante hai aur naa hi uski koi detail whastapp par hume dikhayi deti hai.en sabme aapko niche bataye gaye tarike bahut hi madadgar ho sakte hai.

 

Truecaller Se Number Ki Detail Aur Location Kaise Dekhe?

Jaise ki hum sab jaante hai ki kisi bhi whatsapp user ko agar whatsapp use karna hai to uske paas ek mobile number hona jaruri hai aur sath hi us number se OTP ke bina koi bhi whatsapp par apna account nahi banaa sakta hai to hum uske Mobile Number se Truecaller ki madad se kisi bhi number ki details dekh sakte hai chahe wo truecaller use karta ho yaa naa karta ho.

  1. Sabse pehle Truecaller ka app yaa website khol kar Login kare.
  2. Whatsapp Number Se Location Kaise Dekhe,Login kar lene ke baad aapko usi number ko whatsapp se Copy kare, Search Phone Number par click kare aur Paste kare.Whatsapp Number Se Location Kaise Dekhe,
  3. Ab jaise hi number paste karenge ustime aapko mobile number ka naam aur location truecaller ke server se truecaller ke app yaa website me aapko dikhayi dene lagta hai.

Toh Dosto! humne kuchh simple steps me yah jana ki hum kisi bhi whatsapp number ki location kaise dekhe truecaller ke jariye to ab baat aati hai agar kisi wajah se truecaller hum install nahi kar sakte yaa truecaller install nahi aur fir bhi hume kisi whatsapp number ki location dekhna chahte hai to chaliye dekhte hai hum bina truecaller ke whatsapp number ki location kaise dekhe.

 

Google Par Whatsapp Number Se Location Kaise Dekhe?

Jaisa ki hum jante hai humare paas whatsapp se number mil chuka hai to hum ab us number se google ki madad se uski location jaan sakte hai chaliye dekhte hai hum websites par jaakar whatsapp number se location kaise dekhe.

  1. Sabse Pehle Google Par “Mobile Number Tracker” Search Kare.
  2. Aapko sabse pehle search result me jo website dikhe use aap click kare.
  3. Jab aap pehli website kholenge to aapko waha Mobile Number daalne ka option aayega jaha aapko number whatsapp se Copy karke Paste karna hai.Whatsapp Number Se Location Kaise Dekhe,
  4. Ab aapko us number ke start 4 numbers se milne wali kuchh details batayega aur sath hi aapko niche ki side map me bhi location dekhne mil jati hai, halanki yeh jaankari puri tarah se accurate to nahi batata hai par aapko yaha Whatsapp Number ka details me yah pata chal jayega ki wo whatsapp number kis State(Raajya) ka hai aur aap dhyaan se us Map ko dekhenge to aapko kuchh had tak samajh aa jayega ki us number ki location kya hai.

 

Dosto! humne es blog me yah bataya hai ki hum kisi bhi whatsapp number se location kaise dekhe aur sath hi uski puri details kaise pata kar sakte hai, to aapko es topic se related koi bhi issue ho to hume comment karke jarur bataye.

Leave a Comment

WinRAR: 10 चीजें जो आप नहीं जानते थे यह 10 Nature Wallpaper जो आपके फ़ोन को देंगे नया लुक | इसको लगा डाला तो फोन झिंगालाल लड़कियों के दिलो पर राज करने आये Nokia के यह 3 5G धासु Smartphones “छिपे हुए खजानों का पर्दाफ़ाश: सायनोजेन ओएस के 15 रोचक रहस्य” Unlock the Mysteries of GTA VI: What’s In Store for Gamers! | “गेमर्स के लिए GTA VI के रहस्य खोलें: जानें क्या है Leaks ! ” |