Android phone ko root kaise kare? Dosto agar aap apne kisi android phones (Samsung, Oppo, Vivo, Oneplus, Realme, Xiaomi Redmi ETC…) ko root karna chahte ho to es post me hum janenge ke safe tarike se rooting kaise ki jati hai aur android phone ko root karne ke baad kya-kya advance option unlock ho sakte hai aur aap apne android smartphone me kya special options ka use kar sakte hai.
Dosto! Agar aap apne android phone ko root karne jaa rahe hai to aapko yah to pata hoga ki rooting kya hoti hai aur eske fayde aur nuksaan kya ho sakte hai. Yeh sabhi jankari aapko hai aur aap apne phone ke sath Experiments karke kuchh nayaa karna chahte hai aur nayi-nayi chije apne phone se karna chahte hai to aapko apne phone ko root kar lena chahiye.
YEH BHI PADHE : Phone Ko Unroot Kaise Kare [FULL GUIDE]
Agar aap apne OLD android smartphone me NEW android version ko install karna chahte hai to aapko apne android smartphone ko root karna hota hai jis se android operating system me advance permissions aur root access unlock ho jata hai, to me aapko es blog me 2 tarike batane ja raha hu jinki help se aapka android smartphone 100% root ho jata hai.
ANDROID PHONE KO ROOT KAISE KARE?
Requirements:
-
- Computer
- Internet Connection
- Kingoroot Software
- Data Cable Aur Aapka Phone
Upar batayi gayi REQUIREMENTS ko pura karne ke baad Niche bataye gaye Steps ko FOLLOW Kare
STEP 1 : Sabse pehle apne computer me Kingroot Software ko Download karke Install Kare. Fir use Open kare.
STEP 2 : Open karne ke baad phone ko Datacable ke jariya apne Computer se Connect karne ke liye aapko pehle USB Debugging On karna hoga.
USB Debugging On karne ka option aapko apne phone ki setting me Developer Option me mil jayega.
SPECIAL TIP : Agar aapke phone me aapko Settings me Developer Option nahi mil raha hai to Setting >> About me jaakar BUILD NUMBER par 6-7 baar click kare.
INTERNAL INDEXING — ROOTED ANDROID PHONE KE LIYE TOP APPS
STEP 3 : Phone me USB Debugging On karne ke baad Connect karna Start ho jayega.
STEP 4 : Driver Install karne ke baad aapke phone me USB Debugging Permission mangega usme aap Allow par click kare.
STEP 5 : Ab aapka phone Successfully Connect ho jayega, Ab aap computer me Root par jaise hi click karenge to aapke phone me rooting ki process start ho jayegi.
STEP 6 : Process start hone ke baad kuchh time tak process hone ke baad aapka phone successfully ROOT ho jayega.
STEP 7 : Ab agar aapke Screen par Finish likh kar aaye to aap Finish par Click karke apne Phone ko Unplug kar le.
Hurrey!
Ab aapka phone Successfully Root ho chuka hai, Ab aapko pata chal gayaa hoga ki Computer se Android phone ko Root kaise kare?
BINA COMPUTER KE ANDROID PHONE KO ROOT KAISE KARE?
Requirements:
-
- Internet Connection
- Battery Charged Minimum 70%
- Kingroot App
Upar batayi gayi REQUIREMENTS ko pura karne ke baad Niche bataye gaye Steps ko FOLLOW Kare
STEP 1 : Sabse pehle apne Android Phone me Kingroot App ko Download karke Install Kare.
STEP 2 : Ab Kingroot App ko Open kare aur START ROOT par click kare.
STEP 3 : Ab kuchh time Process hone ke baad aapka Phone Successfully Root ho jayega.
Es Process ke baad bich aapka Phone RESTART ho sakta hai, to Don’t Worry!
Ab aapka Phone root ho chuka hai, ab aapko pata chal gaya hoga ki bina computer ke android phone ko root kaise kare?
Ab apne kisi bhi android phone ko root karne ke baad Root Checker App se yah Confirm jarur kar le ki aapka phone Successfully Root hua hai ya nahi.
Toh Dosto! Ab aap jaan hi gaye honge ki kisi bhi android phones (Samsung, Oppo, Vivo, Oneplus, Realme, Xiaomi Redmi ETC…) ko root kaise kare[With aur Without PC] mobile root kaise kare.
Dosto! Aapko agar es blog se related koi bhi query ho to aap hume Comment karke puchh sakte hai.