Processing Device Kya Hai? : Computer me 4 main devices hote hai, wese to computer Hardware 4 prakar ke Devices se milkar banaa hota hai jinme Pehla INPUT DEVICES , Dusra OUTPUT DEVICES, Tisra STORAGE DEVICES aur Choutha PROCESSING DEVICES hote hai jinme Processing Device sabse mahatvapurn device hum maan sakte hai. Eske bina Computer kuchh kam hi nahi kar sakta hai, Chaliye Detail me jaante hai ki Processing Device kya Hai!
Processing Device kya hai ?
Processing Device computer ka sabse mahatvapurn part hota hai, eske bina Computer kaary nahi kar sakta hai, Computer se kuchh bhi karne ke liye sabse pehle use kuchh Input dena hota hai, jab jaakar Output prapt hota hai, Input dene ke liye INPUT device aur Output prapt karne ke liye OUTPUT Device ka prayog kiya jata hai. Lekin Input dene aur Output prapt karne ke bich ek aur kary hota hai jise PROCESSING kahte hai aur yah kriyaa Processing Device ke dvara hoti hai.
Processing Device ka kary prapt Input ka Output dena hota hai, yah Computer System ka Central Program hota hai, Jise Central Processing Unit(CPU) Processing Device Kehkar bhi hum jaante hai, yahi Computer me sabhi kaaryo ko Manage karta hai.
Processing Device ka Example
- Central Processing Unit(CPU)
- Graphics Processing Unit(GPU)
- Vision Processing Unit(VPU)
- Tensor Processing Unit(TPU)
- Neural Processing Unit(NPU)
Yah sabhi Processing Device ke Examples hai jinme se agar CPU hi naa ho to humara Computer kisi kaam ka nahi hota kyuki CPU me hi saare Components hote hai jinki madad se humara computer saari chalane jitna kaabil ho pata hai.
Dosto! humne aaj jana ki Processing Device Kya Hai aur eske kuchh example bhi humne jaane, agar aapko es article ke baare me kuchh issue ho to hume comment karke jarur bataye.